Friday, 27 May 2011

is desh ki shiksha vayavastha ki ek problem ye hai ki yha litrature padhne ke lie students ko encourage nahi kia jata. students bahut se facts ko jaan hi nahi pate. media i mean samachar patra ya tv news channels jo dikha de use sach man lia jata hai. jabki news editor room me news kaise banai jati hain isse to viewers nahi hi jaan pate. ab jarurat is baat ki hai ki shiksha vayavastha me badlav ho lekin aisa nahi jaisa kapil sibbalji kar rahe hai. hidden privatisation of education se to desh barbad hi ho sakta hai. isse next generation ka kuch bhi bhala nahi ho sakta. to dosto new generation ko desh sambhalne ke lie taiyar karo. litrature padhkar desh ka culture n history jano. fir yojana banao ki kya karna hai. kya aap us desh ki un policies ko adopt karna chahoge jo new colonizations ki taraf le jati ho?

Thursday, 26 May 2011

dear all

aj ke rajnitik duschakra ko hum sab ko pahtanne ki jarurat hai. desh aaj kis rah pe chal raha hai, usse pahchnna jaruri hai. aaj hum sabko aapni bhumika ko pahchnna padega . varn akal bahut der ho jayegi.

बलम संग कलकत्ता न जाइयों, चाहे जान चली जाये

  पुस्तक समीक्षा  “बलम संग कलकत्ता न जाइयों , चाहे जान चली जाये”- संदीप तोमर पुस्तक का नाम: बलम कलकत्ता लेखक: गीताश्री प्रकाशन वर्ष: ...